Facial Hair Removal Tips Urdu | Chehre Ke Faltu Baal Khatam Karna in Urdu

Facial Hair Removal Tips Urdu
Facial Hair Removal Tips Urdu





Khawateen Ke Chere Par Jisum Ke Digar Hissoon Par Geer Zarori Baal Hote Hain Jin Ka Koi Khaas Kam Nahin Hota Aur Budnumaa Mehsoos Hote Hain.


Aksar Khwateen Cehre Aur Jisum Ke Digar Hissoon Par Mojood In Gheer Zaroori Baloon Se Pareshaan Rehti Hain, Jo Ankhoon Ke Ird Gird ,peshani , Thoori ,hontoon Ke Opri Hisse Aur Cehre Ky Aatraaf Mojood Hote Hain.

Jubke Khwateen In Gheer Zaroori Baloon Se Nijaat Paane Ke Liye Mukhtaleef Tariqe Kaar Jese (Bleaching)(Threading)razor Hair Removal Creams , Ka Istimaal Karti Hain, Lekin Wo In Se Mustaqil Nijaat Hasil Karne Main Kamiyaab Nahin Hotin.
Khwateen Ke Gheer Zarori Baloon Se Mustaqil Nijaat Ki Pareshani Ko Dekhte Howe Mandarja Zail Chand Facial hair removal tips Urdu Ghreloo Totkay Bataye Gaye Hain Jin Par Amal Kar Ke Khwateen Gheer Zaroori Jismani Baloon Se Koch Arsey Main Mustaqil Nijat Hasil Kar Sakengi.

Facial hair removal tips & tricks 



Gayeer zaroori baloon se chotkara pane ke liye khwateen bleachings, threadings key ilawa deegar tariqe jese ke hair removal creams, lotion aur deegar kimiyai masnoaat kaa istamaal karti hain jo sirf aarzi nataaij maratab karte hain.

Haqeqat mein un tareqoon ka istemaal ghair zaroori baloon ki nash-o-numaa ko ziyada mutharrak kar detaa hai, jo jild par sakht asraat muratab karte hen. In tarikoon ki bajaye agar batayi gayi facial hair removal tips Urdu par amal kia jaye to khwateen chand hafton main in ghair zaroori baloon ki nash-o-numa ko rok kar un se mustaqil nijaat bhi paa sakti hain.

Facial hair removal tips
Facial hair removal tips





Cehre Aur Jisum Ke Dosre Hissoon Par Mojood Gheer Zaroori Baloon Ko Khtam Karne Ke Liye (Besan) Ka Istamaal Sub Se Qadeem Aur Azmooda Tariqa Hai. Besan Aur Paani Ko Milaa Kar Creami Past Bna Kar Geer Zaroori Baloon Par Lagayen Aur Halka Saa Khushak Kar Hone Par Ragar Kar Utaar Lain, Is Se Na Sirf Gheer Zaoori Baloon Ka Khatma Hoga Balke Jild Bhi Narum O Mulaem Ho Jayegi.








Ek Cup Paani Mein 30 Graam Cheeni Aur 2 Chammach Lemon Ka Ras Mila Len.is Paste Ko Chehre Aur Jisam Ke Ghair Zaroori Baloon Par Lagayen. Taqreeban 20 Minute Baad Jild Ko Dho Lain. Behtareen Nataij Ke Liye Is Amal Ko Hafte Mein Ek Martaba Zaroor Dohrayeen, Chand Haftoon Main Baaloon Ki Afzaish Main Waaze Kami Aa Jaygi.







Aaloo Aor Masoor Ki Daal Pees Kar Leep Banaa Len, Is Leep Ko Ghair Zaroori Baloon Par 15 Min Tak Lagayen Aur Dhoo Lain. Is Tareeqe Se Nah Sirf Baloon Ke Dobaarah Ugnee Mein Kami Aayegi Balkee Jild Ki Rangat Bhi Nikhar Jaye Gi. Kiun Ke Aaloo Mein Qudrati Bleaching Ajizaa Paye Jate Hen.




Kelee Ko Masal Kar Is Mein Jai Mila Leen. Is (Scrub) Ko Ghair Zaroori Baloon Par Leep Karen Aur 15 Se 20 Min Baad Matlooba Jald Ko Dho Len. Is (Scrub) Ko Haftee Mein Kam Az Kam Ek Martabaa Zaroor Istemaal Kiyaa Karen. Chand Haftoon Ke Mustaqil Istemaal Se Ghair Zaroori Baloon Se Mukammal Nijaat Mil Jayegi.




Haldi Aur Papite Ke Juice Ko Milaa Kar Careemi Paste Banaa Leen. Is Paste Ko Chehre Aur Jism Ke Ghair Zaroori Baloon Par Taqreeban 15 Min Taq Lagayeen Aur Bhar Ragar Ko Dho Len. Yeh Paste Nah Sirf Balo Ki Nasho-numa Rokne Mein Madad Gaar Hai Balkay Jald Ko Naram O Mulaem Aur Khobsorat Bana De Ga.


Facial Hair Removal Totkay



Mandarjaa Zeel Mein Chehre, Hontoon, Peshaani, Thoori, Aankhoon Ke Ird Gird Aur Deegar Jismaani Baaloon Se Mukammal Nijaat Paane Ke Gharelu Totkay Betaye Gaye Hain Jin Ki Madad Se Aap Ghar Mein Mojood Ajzaa Se (Hair Removal Cream) Aur (Scrub) Bana Kar Ghair Zaroori Jismaani Baaloon Se Mustaqil Nijaat Pa Sakten Hain.













Tips # 1






Ye Ghareloo Totka Ghair Zaroori Baloon Se Mukammal Nijaat Dilaane Aur Un Ki Dobaarah Nash O Numa Rookne Ke Liye Behtareen Hai. Is Totkay Ke Liye Aap Ko Mandarja Zeel Ghareelo Ajzaa Ki Zaroorat Hogi.


Pise Howe Badaam – 1 Khane Ka Chammach


Multaani Mitti – 1 Khaane Ka Chammach


Medicated Cream – 1 Khaane Ka Chammach


Arq E Gulaab – Hasb E Zarorat


Tamaam Ajzaa (Pise Hue Badaam, Arq E Ghulab, Medicated Cream Aur Multaani Mitti) Ko Kisi Piyaale Mein Daal Kar Achi Terhan Mix Kar Leen. Is Paste Se Chehre Aur Degar Ghair Zaroori Baloon Wali Jagaah Par Halke Haath Se Massage Kareen, Taqreeban 10 Min Baad Neem Garam Paani Se Jald Ko Dho Leen.






Is Amal Ko Hafte Mein 2 Se 3 Martabaa Dohrayen, Chand Haftoon Ke Istemaal Se Ghair Zaroori Baal Jard Se Khatam Ho Jayenge.






Yee Ghareloo Hair Removal Mask Nah Sirf Ghair Zaroori Baloon Ko Jard Se Khatam Karta He Balke Jild Ko Bhi Naram O Mulaim Banataa Hai. Is Gharelo Totkay Ke Liye Aap Ko Mandarjaa Zeel Ajzaa Ki Zaroorat Hogi.






Besan – 2 Khaane Ke Chammach


Dahi – 2 Khaane Ke Chammach


Haldi – 1 Khaane Ka Chammach


Besan, Dahi Aur Haldi Ko Kisi Bhi Bartan Mein Achi Tarah Mila Leen, Aur Ab Is Paste Ko Ghair Zuoori Balon Par Laip Kar Deen. Jab Laip Sookh Jaye To Kheench Kar Utaar Len Aur Mazkoorah Jild Ko Neem Garam Pani Se Dho Kar Skin Care Cream Se Massage Karen. Inshahallah Chand Dino Ke Baqaida Istemaal Se Ghair Zaroori Baal Jard Se Khatam Ho Jayenge.






Yeh Ghrelu Scrub Ghair Zaroori Jismani Baalo Ko Jard Se Khatam Karne Ke Liye Be Had Kaar Amad Hai, Is Ghareelo Sekrab Ko Banane Ke Liye Aap Ko Mandarja Zeel Ajzaa Ki Zaroorat Hoogi.










Besan – 2 Se 4 Khane Ke Chammach




Haldi Powder – 2 Khane Ke Chammach


Fresh Cream – Aadhi Piyali


Doodh – 1 Cup


Besan, Haldi Powder Aur Fresh Kareem Ko Kisi Bartan Mein Daal Kar Achi Terhaan Mix Kar Lain. Jab Sab Cheezain Yakjaan Ho Jayeen To Is Mein Doodh Daal Kar Name Gaarha Paste Banaa Len.is Paste Ko Chehrey Aur Jism Ke Deegar Ghair Zaroori Baloon Par Is Tarah Lagaeen Ke Paste Tamam Ghair Zaroori Baloon Par Lag Jaye.






Jab Paste Khushq Ho Jaye To Unglio Ki Madad Se Ragar Ragar Kar Utar Len, Musalsal Istemal Se Baar Baar Ugne Wale Ghair Zaroori Baal Aahista Aahista Mukammal Khatam Ho Jayeenge.

Happy New Year 2020 Free Download | Photos and Pics |Greetings, SMS, Wallpaper | Wishes, Messages, Quotes, Images, Status |

Happy New Year 2020 Free Download Karen Yahan Se Tamaam Dostoon AUr Azizoon Ko Happy New Year 2020 Mubarak Hu.


A message meant for a lover might not be the proper message that you simply might want to send to your partner. The best thanks to start a replacement Year is by reading some memorable wishes and quotes messaged by our friends, family and loved ones!

Yahan Par Apko Happy New Year 2020 Free Download Karne Ko Milenge Aur Is Post Ko Hum Aur Apdate Karte Rahenge.


Happy New Year 2020 Free Download
Happy New Year 2020 Free Download

Happy New Year

Happy New Year 2020 Free Download
Happy New Year 2020 Free Download

"For last years words belong to
Last years language. And next
Years wordawait another vice.
by technicalmalikjee

Happy New Year 2020 Free Download
Happy New Year 2020 Free Download
As the new year
renewa all the
happiness and
good tidings, hope
the joyful spirit
reeps glowing in
your heart forever!
Happy New Year 


Happy New Year 2020 Free Download
Happy New Year 2020 Free Download

Happy New Year 2020 Free Download
Happy New Year 2020 Free Download

Happy New Year 2020 Free Download
Happy New Year 2020 Free Download

Happy New Year 2020 Free Download
Happy New Year 2020 Free Download

A new year is like a blank
book. The pen is your hands. it
is your chance to write a
Beautiful story for yourself.
Wishing you a great Happy
and Paosperous New Year!

Happy New Year 2020 Free Download
Happy New Year 2020 Free Download

Happy New Year:
May the New Year bring 
to you the warmth of
Love,and a light to guide
your path towards a
positive destination

Happy New Year 2020 Free Download
Happy New Year 2020 Free Download
May Love be in
your hearts,
happiness in your
mind smiles on
your lips and sene
of fulfillment in
your eyes! Happy
New Year




#Tag
Happy New Year 2020 Free Download
2020 new wallpaper,
happy new year 2020 wallpaper,
happy new year 2020 wallpaper download,
happy new year 2020 photo download,
happy new year 2020 quotes,
happy new year 2020 in advance,
happy new year 2020 status,
happy new year 2020 wishes,
new year wishes messages,
new year wishes messages,
new year wishes greetings,
happy new year wishes for friends,
happy new year wishes for all  friends and family in hindi,
happy new year shayari hindi love,
happy new year shayari 2020,

Peele Dant Safed Karne Ka Tarika

Peele Dant Safed Karne Ka Tarika Urdu / Hindi
Peele Dant Safed Karne Ka Tarika Urdu / Hindi



Dantoon Ki Nisbat Mard Our Khawateen Jism Ke Dosre Hissoon Ki Hifazat Aur Dekh Bhaal Mein Waqt Aur Paisa Kharch Karte Hain Lekin Danotoon Ki Munasib Dekh Bhaal Aur Safai Per Ziyada Tawajah Dete Howe Nazar Nahi Atay.






Is Ka Nateeja Yeh Nikalta Hai Ke Khoubsurti, Mehangay Libaas Aur Makeup Se Shakhsiyat To Achi Lagnay Lagti Hai Magar Jaisay Hi Un Ke Danoton Par Nazar Padtee Hai To Un Par Jami Mil Kuchail Aur Saanson Se Uthti Bad Bo Aas Paas Ke Logon Ke Liye Shadeed Nagwari Ka Baais Banti Hai.






Is Liye Zarori He Ke Araish Husn Ke Saath Danotoon Ki Safai Sthrayi Ko Bhi Mad-e-nazar Rakha Jaye Kion Ke Chamakdaar Aur Safaid Daant Aap Ki Khoubsurti Ko 4 Chaand Laga Dete Hain.






Dant Safed Na Hoon To Moonh Se Badbu Aati Hai Aur Danoton Par Mojood Jaraseem Aur Gandagi Khayi Jane Wali Khoraak Ke Saath Maiday Mein Jaa Kar Mukhtalif Bimarioon Ka Baais Banti Hai.






Hazrat Mohammad (Saw) Ne Danotoon Ki Safai Ke Liye Maswaak Par Bohat Zoor Diya Hai. Agar Daant Safaid Aur Saaf Honge To Sehat Bhi Achi Ho Gi Aur Aap Danotoon Ki Bimarioon Se Bhi Mehfooz Rahengi Ya Rahenge.






Danoton Ki Chammak Aur Safedi Se Apni Muskurahat Ko Jagmagana Har Mard Aur Aurat Ki Khwahish Hoti Hai Aur Shayad Isi Maqsad Ke Liye Woh Salanaa Hazaroon Rupe Dentist Ko De Kar Un Ki Safai Bhi Kerwate Hain Lekin Inhen Koi Khaas Faida Nahi Hota.






Mandarja Zail Mein Daantoon Ki Munasib Dekh Bhaal Aur Danto Ko Safaid-o-chamakdaar Banane Ke Liye Gharelo Totkay Betaye Gaye Hain.






Jin Ko Istemaal Kar Ke Aap Danotoon Ko Saaf, Sehat Mand, Mazboot Aur Dant Safed Bana Sakenge Ya Sakengi Aur Is Ke Liye Aap Ko Bohat Ziyadha Kharcha Karne Ki Zaroorat Bhi Nahi Paegi.


Safed Aur Chamakdar Daanto Ke Liye Tips





Chamakdaar Aur Safed Daant Kise Pasand Nahi Aur Motiyoon Jese Chamakate Safaid Daant Aaj Ke Dur Mein Khoubsurti Ke Maloomat Mein Shaamil Ho Chuke Hain.






Yaqeenan Aap Din Mein Ek Ya Do Baar Danotoon Par Brush Karte Ya Karti Hongi, Taake Woh Saaf Aur Safaid Hojayen Magar Phir Bhi Un Ki Safedi Wapas Nahi Aati.






Agar Aesa Hai To Mandarjaa Zail Mein Daant Safed Karne Ki Chand (Tips) Likhi Gai Hain Jin Ko Istemaal Kar Ke Aap Danotoon Ko Safaid Aur Chamakdaar Banaa Sakte Ya Sakti Hain.






Lemon (Lemon) Ka Ras Nikaal Kar Is Mein Daant Saaf Karne Wala Brush Bighoo Kar Rozana Is Se Daant Saaf Kareen. Do Teen Roz Mein Hi Peele Aur Gande Daant Saaf O Shafaaf Aur Safaid Ban Jayenge.




Ek Chammach Mithee Soday Mein Aadhi Chammach Namak Aur Suhagaa Mila Kar Kisi Bottle Mein Mehfooz Kar Leen. Is Se Din Mein Ek Martaba Daant Saaf Kareen Chand Din Ke Istemaal Se Daant Safaid Aur Chamakdar Ban Jayenge.




Chand Qatre Long Ka Tel Daant Saaf Karne Wale Brush Par Daal Kar Is Se Daant Saaf Kareen. Sarsoon Ke Tel Mein Namak Mila Kar Daant Saaf Karne Se Chand Din Mein Daant Safaid Aur Chamakdaar Hojate Hain.




Daant Brush Karte Waqt Agar Tooth Paste Per Thooda Saa Soda, Namak Aur Lemoo (Lemon) Ke 2 Qatree Daal Kar Danotoon Ko Saaf Kya Jaye To Naa Sirf Daant Safaid Aur Chamakdaar Ho Jayenge Balke Moonh Ki Na Gawaar Badboo Bhi Khatam Ho Jayegi.



Dantoon Se Peele Dhabee Khatam Karne Ke Liye Haldi Ka Istemaal Bohat Mufeed Hai.


1 Chammach Haldi Ko Rai Ke Tel Mein Mila Kar Paste Bana Leen. Uske Baad Fitkari Ko Tawaa Par Jalaa Kar Haldi Aur Rai Ke Paste Mein Shaamil Karlen. Is Paste Ko Ungli Ya Toothbrush Par Lagaa Kar Daant Saaf Karne Se Danotoon Ke Har Masle Se Chhutkara Mil Jata He.





4 Khaane Ke Chammach Haldi Mein 3 Chamach Nariyal Ka Tel Aur 2 Chammach (Backing Sodda) Daal Kar Kantay (Fork) Ki Madad Se Itna Mix Kareen Ke Amezay Ka Rang Naranji Jaisa Ho Jaye. Isske Baad Toothbrush Par Paste Lagaa Kar Os Se Danotoon Ko Brush Karen. Yeh Paste Danotoon Ko Safaid Karne Ke Ilawa Danotoon Ke Keeree Bhi Khatam Karta Hai.


Dant Safed Karne ke Totkay



Danto Ko Safed Aur Chamakdar Banane Ke Liye Aap Mandarja Zail Ghareloo Totkay Bhi Istemal Kar Saktin Ya Sakte Hain. Kyun Ke Danto Ko Safaid, Chamakdar Aur Saaf Suthra Banane Ke Liye Qudrati Ajza Par Mushtamil Totkay Nihayat Mufeed Hote Hain Aur Danton Ki Mazbooti Mein Herat Angez Asrat Maratab Karte Hain.



Gharelu toothpaste danton ko safed banane ke alawa masooron se khoon aana aur sujan khatam karne mein bhi mufeed hai.


Meetha soda – 5 chaye ke chammach
Vegetable glycerin – 5 chaye ka chammach
Pudina ka tail – 2 qatray
Namak – 1/4 chammach
5 chaye ka chamach meetha soda mein vegetable glycerin ke 5 chammach, 2 qatray pudina ka tail aur aik chothai chammach namak daal kar inheen achi terhaan mix karen aur ek bottle mein daal kar mehfooz kar len. Rozana is paste se danotoon ko saaf karen danto ki tamam masail se chutkara mil jaye ga.

Is ke milte jhulte bazaar mein milnay walay toothpaste mein had se ziyada fluoride ki miqdar danotoon ko faiday ki bajaye nuqsaan deeti hai.



Gharelu Mouth Wash Dantoon Ka Peela Pan Karne Ke Alawa Moonh Se Badboo Khatam Karne Mein Bhi Bohat Kaar Aamad Hai. Gharelu Maothwash Banane Ke Liye Aap Ko Mandarjaa Zail Ajzaa Ki Zaroorat Ho Gi.


Garam Paani – 1 Glass
Hydrogen Peroxide – 2 Chaye Ke Chammach
Kaala Namak – 1 Chammach
Loong Ka Tail – 4 Qatray
Safedaa Ka Tail – 10 Qatray
Meethaa Sodaa – 1 Chammach
Meetha Sodaa Mein Itna Lemon Juice Dalen Ke Paste Ban Jaye, Is Paste Ko Toothbrush Par Laga Kar Danotoon Par Achi Terhaan Ragrain Aur 10 Minute Tak Laga Rehne Den. Mouthwash Banane Ke Liye Garam Paani Mein Tamaam Cheeze Mila Kar Fridge Mein Rakh Den. Is Mein Se 1 Chammach Paani Rozanaa Le Kar Usay 1 Chammach Saade Paani Mein Mila Kar Kuliaan Karen.

Chand Din Ke Istemaal Se Munh Ki Nagawaar Badboo Khatam Ho Jayegi Aur Dant Safed Ho Jaingy.



Henna Mehndi Designs 2020

Henna Mehndi New Designs 2020

Henna Mehndi Designs 2020
Henna Mehndi Designs 2020

Henna Mehndi Designs 2020 Humare Blog Par Apko hina Mehndi Ke tmaam Designs Milenge Agr Aur Milenge Dekhne Hun Tu aap humen comments kar ke hasil kar skte hain. thnks

Acne and pimples home remedies

acne and pimples home remedies in urdu
acne and pimples home remedies in urdu



Khobsoort chehe ko bigarne mein pimples our acne ka ehm kirdar he. Har dosri larki is jhunjt mein mubtala he. Akhir kya kiya jaye? Dermatologists ko skin dikha dikha kar thak gye mgr koi ilaj nhi. Are kion preshan hoti hein aap hm hein na. Ji han pimples or acne se nijat mumkin he agr hmare chnd nuskhon pe aml kar lya jye to.


Beauty Tips for Acne and Pimples:




    · Arq e gulab ko kisi bottle mein daal kar rozana chehe pr subha sham spray karne se pimples se chutkra paya ja skta hy

    · Sbzion ka juice hr khany se pehly peeny se chehra pimples free ho jata hy

    · Neem soup peeny se bhi pimples se chutkarapaya ja skta hy

    · Tamatr ka juice 30 minute ke liye chehre par lgein or khushk hone par dho lein.pimples khtm ho jyengi

    · Taza meethi ka paste chehe pr achi trha lgein. Khushk hony py neem grm pani se dho lein

    · Chehe pr brf(ice) lgane se bhi pimples door ho jati hy

    · 3 khane ke chammach honey yani shahd mein 1 chammch daar cheeni powder mila kr pimples pr lagaen. Dry hony par dho lein

    · Taaza lemon juice ko ek pyalee uble doodh mein mix kar ky acne pr lgein. Chehra pimples free ho jaya ga

    · Paani ky ziada istamal se jild ki bemarion or deegar maidy ki bemarion pr ba asani kabu paya ja skta hy

    · Kisi ka tolya yaani towel na istamal kiya jaye, rooz nahya jaye our jism or kaproon ko saaf rakha jaye. In choti choti ehtiati tada beer ko istamal kar ke acne jese masly se chutkara paya jaa sakta he

    · Thande mosam mein bahar nikalne mein ehtiat bratni chaye our agr nikalna zaroori ho to jism dhanp kar niklein

    · Podeeny ke juice yani (Mint Juice) ko rozana sone se pehle roee ki mded se chehre par lgein. Acne khatam ho jaye gi our chehra shadap ho jayeg





    · Neem ke pattoon ka paste rozana chehre par lgane se acne kahtam ho jatee hain.

    · Sandal ke powder mein arq e gulab mila kar maask bana lein our chehre par lgein. Chehra acne se paak ho jaye ga. Koshish krein ka sandal ka sabun yaani sandal soap sa moonh saaf krein.

    · Arq e gulab ko kisi bottle mein daal kar rozana chehre par subha sham spree karny se acne se chutkra paya ja sakta ha.

    · Sabzioon ka juice har khane se pehle peene se chehra acne free ho jata he.

    · Neem soup peene se bhi acne se chutkara paya jaa sakta he.

    · Tamatr ka juice 30 minute ke liye chehre par lgein our khushak hone par dho len. Acne kahtm ho jaye gi.

    · Taza meethi (Fenugreek) ka paste chehrr par achi tarha lgein. Khushak hone pe neem garam paani se dho lein.

    · Chehre par barf(ice) lagane se bhi acne door ho jaati he.

    · 3 khana ke chammach honey yani (shahd) mein 1 chammach daar cheeni powder mila kar acne par lgein. Dryi hoone per dho lein.

    · Ager chayey (tea) coffee or cigarette ko apni ghiza se nikaal den to pimples ka masla kahtm ho sakta he.

    · Paani ke ziada istamal se jild ki bimarion our deegar maidy ki bemarion par ba asani kabu paya ja sakta he

    Remove wrinkles from face at home

    how to remove wrinkles
    how to remove wrinkles




    Koi bhi aurat borha nahi hona chahti chahe who 50 saal ki ho jaye ya is se bhi ziada. Jawan rehna aur nazer anaa ziada ter aurtoon kay liye bohut zaroori hota hai. Yeh unki awwaleen khawahish hoti he aur is ke liye wo laakh jatan bhi kerti hain. Iss tehreer ka maqsad bhi yehi hai k aisai tamam khawateen jo k khuriyoon ki wajha say pareshaan hai kiyun k who umer se pehle namoodaar do gai hain ya phir dhalti umer ki wajha se bhi hain tou un say nijaat hasil ker dobara say hasen aur dilkash nazer aa sakti hen.

    Tips for Wrinkles in Urdu:





    · Baisan, shehed, glycerin aur cream ko mila ksr ek bowel mein daal lain aur achi terhaan mix ker len. Itna mix karain k her cheez mil ker aik jaan ho jaye. Ab is paste ko chehre aur gardan per achi terhaa phela ker laga lain.




    · Arq e gulab, rogan e badam, phitkari lain aur 4 andon(eggs) ki safedi mein pakaa len. Juba chi terha pakk jaye tou utaar lain. Raat ko sonay say pehlay chehray per lagain aur iss ka massage karain. Chehray ki jhurioon say nijaat mil jaye gi.




    · Kelee(banana) le ker achi terha kochal lain aur chehre aur gardan per leep ker lain. Kuch dair k baad chehra saaf ker lain. Yeh jhuriyoon say nijaat ka behtareen tor hai.




    · Har rooz kum az kum 15 minute ke liye chehre per balaai se massage karain .




    · Ande ki sufaidi ka maask bhi johuriyoon ka behtareen ilaaj he.




    · Dahi mein 2 tea spoon shehed mila ker lagaen aur kuch deer ke liye choor deen. Aur phir saaf ker leen.




    · Nariyal ka teel le ker massage kerna bhi mufeed samjhaa jata hai




    · Saib (apple) aur ananaas(pineapple) ka juice chehre per lagana bhi mufeed samjha jata he. 10 se 15 minute k liye inko chehre per lagain aur dho len. Jald afaqa ho ga.




    · Zaitoon ka teel, castor oil aur glycerin mila ker 10 minute k liye chehre par lagaen. Chehre ki jhuriyaan door ho jaingi. 10 minute ke baad paani se chehra saaf ker lain.




    · Doodh ki balai aur arq e gulab mila len aur chehre aur gardan per lagain. Halka halka massage karain aur neem garam paani se dho lain. Aik tolia(towel) ko neem garam pani mein bhigo ker chehre aur gardan ko saaf karain aur koi acha saa moisturizer laga lain.




    · Dalia(cereal), cream, namak aur pani mila ker msk tayyar ker lain aur 10 minute tuk chehray per lain. 10 minute k baad neem garam paani say chehray ko saaf ker lain. Jhuriyoon ka khatma ho jaye ga. In tamam beauty tips per amal ker k aap apnay chehray aur gardan say dhalti umer k asraat chupa sakti hain. Kiyun k jhuriyaan nihayat budnuma maloom hoti hain. Is liye in aazmooda beuty tips ka istemaal karain aur haseen aur jameel nazer ayen chahe aap 50 saal ki umer ke hi Q na pohanch jain.

    Chehre ke Faltu Baal

    Face hair removal home tips
    Face hair removal home tips




    Khobsorat chehra har Aurat ka khawab hota hai.






    Makeup kar ke Aap Waqti Khobsorti Tu Hasil kar sakti hain Mager deer paa khobsorti khobsorat jild k liye hi mumkin hai.






    Khobsorat jild gore rung ka naam nahi hai. Balkay iss ke ilawa bhi bohat si chezeen hain jinka khayal rakhna be had zaroori hai.


    Aese bohut se masail hain jin se bachna aur unka ilaaj karna zaroori samjha jata hai.






    Chere ke faalto baal yani unwated hair dosre bohut se masaail ki terha ek Ehem masla he jinhain khatam karna apki khobsorti main izaafe ka baes banta hai.





    Is tehreer ka ko share karne ka maqsad he aap ke saath kuch asaan beauty tips jin ki madad se aap chehre ke gair zaroori ya faltu baaloon (unwanted hair on face) se nijaat haasil ker sakti hain.


    Home Remedies for Unwanted Hair in Hindi / Urdu :




    •500 graam shakkar lain, garam paani ek cup, ¼ chaye ka chammach taatri powder, glycerin aadha chaye ka chammach, lain aur achi tarhaa mix ker ke tamam ajzaa ko chehre per lagain.


    Khushk hone per ragar ragar ker utaar lain.



    •125 graam aata lain, is mein 10 graam haldi, lemon ka chilka 10 graam, sufaid sandal 10 graam, in sub chezoon ko mix kar ke bakri ke doodh mein mix kar lain aur chehre par lagaa lain aur Khoshak hone par massage kar ke chehre se utaar lain.



    •Baisan main paani ghool ka us ka garha sa paste bana lain aur usee chehre pe achi tarah laga lain. Phir kuch deer tak laga rehne deen jub sookh jaye tu ragar kay utar dain.



    •Ek bartan main thora sa paani le kar namak daal kar mila leen aur ek sooti kapra us main bhigo ke chahre pe halke halke se ragrain. ek hafte ke baqaida istemaal se tmaam geer zarori baloon sr nijaat mil jayegi.


    •Multani mitti, tree gum, medicated ubtan aur arq e gulaab mein mix ker leen aur chehre per lagaen. 30 minute ke baad arq e gulaab se dho leen. Kuch arsee ka masalsal istemaal chehre ke geer zaroori baloon se nijaat ka bais banta hai.



    •Ek anda(egg), corn flour adha cup aur 1 chaye ka chammach cheeni leker mix ker len aur chehre per lagaa leen. Khushk honay per maask ko utaar leen. Chehre ke gair zaroori baal is maask ko peel kerne se door ho jate hain. Is ke baad arq e gulab ya koi bhi acha sa cleanner leen chehray saaf ker lain aur neem garam paani se saaf kar len.


    •Gandum ka aata, sarsoon ka tail, baisan, doodh ki balai, paani aur lemon ka rus milaa ker ek paste taiyar ker lain aur chehre per laga lain. Ahista ahista ragarne se chehre kay baal tootna shuru ho jatay hain. Is ke baad mild cleanser ka istemaal aur aakhir mien neem garam paani say chehra dhoona mufeed hai. Yeh amal dohratay rehnay say ahista ahista chehre kay baal khatum ho jatay hain.



    •In ghareloo totkoon ke ilawa waxing bhi ek azmooda ilaaj hai jis kay zariye aap gair zaroori baloon se nijaat hasil ker sakti hain.



    In tamam beauty tips kay ilawa jadeed tarekoon mein 1 aser treatment bhi muser tareeqa ilaj samjha jata he. Mager ziada tar ghareloo khawateen is tareke ke ilaaj ko mauzoon nahi samajhti hain. Is liye woh gharailoo beauty tips ko he muser samajhti hen. Kiun ke wo aazmooda aur muzhir asraat se paak hote hain aur asaani se her koi in ko aazma sakta hai. Umeed hai ooper darj ki gain beauty tips se aap chehre ke gair zaroori baloon (unwanted hair on face) se nijaat haasil kar pain gi.

    Apple aur lemmon se face wash karen

    apple aur lemmon se face wash karen
    apple aur lemmon se face wash karen

    In 3 Chezoon Se Aese Cehra Saf Karen Hamare Batye Hoye Tariqe Se.

    Apple aur lemmon aur lemon se face wash karen
    Apple aur lemmon aur lemon se face wash karen




    Seeb Jild Ke Liye Mojzaati Phal Hai, Seeb MainMojood (Alpha hydroxy acid) Jild Ki Rangat Ko Nikharta Hai.






    Ek Seeb Ko Cheel Kar Chote Chote Tukre Kar Lain, Aur In Tukroon Ko 20 Mint Ke Liye ek Chote Se Cup Main Bhigo Dain.






    20 Mint Baad Is Doodh Ko Seeb Sameet Blend Kar Ke Pest Bana Lain.






    Ab Is Pest Ko 10 Mint Tak (Fridge) Main Rakhin , Aur 10 Mint Baad (fridge) Se Nikaal Kar Is Main Ek Chamach (Lemon) Ka Ras Mix Kar Dain Phir Is Pest Ko Apne Chehre Aur Gardan Par Laga Lain.






    Ab 15 Mint Baad Chera Dhoo Lain,






    Is Ke Istmaal Se Jild Narum Aur Mulaim Aur Cehre Ki Rangat Saaf Ho Jaye GI. Cehre Par Mojood Daag Dhabbe Bhi Khtam Ho Jayenge.. Inshallah

    Chehre ko saaf kare sirf 20 mint main is totkay se

    Chehre ko saaf kare sirf 20 mint main is totkay se
    Chehre ko saaf kare sirf 20 mint main is totkay se

    Sanal se chehre ko saaf banaye 20 mint main


    sanal se chehre ko saaf banaye 20 mint main
    sanal se chehre ko saaf banaye 20 mint main

    Sandal Se Cehere Ko Baronak Bnane Ka Asaan Tariqe..

    Howashafi


    • Arq e Gulaab Aur Sandal
    Ye Bohat Asaan Ghrelo Maask Hai, Ek Piyale Main 2 Chamche
    Sandal Ka Chora Dalain, Is ke Baad Itna Arq e Gulaab Milayen Take Wo
    Gardhaa Mehlool Ban Jaye ,As Main Koi Guthli Na Rahe ,Ab
    Saaf Cehre Aur Gardan Par Ye Maask Lagayen Aur 20Mints Ke Baad
    Thande Pani Se Dhoo Lain, Cehra Gulaab Ki Tarhaan Khil Uthe Ga Inshahallah


    • Note.

    Mazeed Achi Achi Tips Ko Janne Ke Liye Hamari Website Ko Vsit Karte Raha Karen....Thanks