Chehre ke Faltu Baal

Face hair removal home tips
Face hair removal home tips




Khobsorat chehra har Aurat ka khawab hota hai.






Makeup kar ke Aap Waqti Khobsorti Tu Hasil kar sakti hain Mager deer paa khobsorti khobsorat jild k liye hi mumkin hai.






Khobsorat jild gore rung ka naam nahi hai. Balkay iss ke ilawa bhi bohat si chezeen hain jinka khayal rakhna be had zaroori hai.


Aese bohut se masail hain jin se bachna aur unka ilaaj karna zaroori samjha jata hai.






Chere ke faalto baal yani unwated hair dosre bohut se masaail ki terha ek Ehem masla he jinhain khatam karna apki khobsorti main izaafe ka baes banta hai.





Is tehreer ka ko share karne ka maqsad he aap ke saath kuch asaan beauty tips jin ki madad se aap chehre ke gair zaroori ya faltu baaloon (unwanted hair on face) se nijaat haasil ker sakti hain.


Home Remedies for Unwanted Hair in Hindi / Urdu :




•500 graam shakkar lain, garam paani ek cup, ¼ chaye ka chammach taatri powder, glycerin aadha chaye ka chammach, lain aur achi tarhaa mix ker ke tamam ajzaa ko chehre per lagain.


Khushk hone per ragar ragar ker utaar lain.



•125 graam aata lain, is mein 10 graam haldi, lemon ka chilka 10 graam, sufaid sandal 10 graam, in sub chezoon ko mix kar ke bakri ke doodh mein mix kar lain aur chehre par lagaa lain aur Khoshak hone par massage kar ke chehre se utaar lain.



•Baisan main paani ghool ka us ka garha sa paste bana lain aur usee chehre pe achi tarah laga lain. Phir kuch deer tak laga rehne deen jub sookh jaye tu ragar kay utar dain.



•Ek bartan main thora sa paani le kar namak daal kar mila leen aur ek sooti kapra us main bhigo ke chahre pe halke halke se ragrain. ek hafte ke baqaida istemaal se tmaam geer zarori baloon sr nijaat mil jayegi.


•Multani mitti, tree gum, medicated ubtan aur arq e gulaab mein mix ker leen aur chehre per lagaen. 30 minute ke baad arq e gulaab se dho leen. Kuch arsee ka masalsal istemaal chehre ke geer zaroori baloon se nijaat ka bais banta hai.



•Ek anda(egg), corn flour adha cup aur 1 chaye ka chammach cheeni leker mix ker len aur chehre per lagaa leen. Khushk honay per maask ko utaar leen. Chehre ke gair zaroori baal is maask ko peel kerne se door ho jate hain. Is ke baad arq e gulab ya koi bhi acha sa cleanner leen chehray saaf ker lain aur neem garam paani se saaf kar len.


•Gandum ka aata, sarsoon ka tail, baisan, doodh ki balai, paani aur lemon ka rus milaa ker ek paste taiyar ker lain aur chehre per laga lain. Ahista ahista ragarne se chehre kay baal tootna shuru ho jatay hain. Is ke baad mild cleanser ka istemaal aur aakhir mien neem garam paani say chehra dhoona mufeed hai. Yeh amal dohratay rehnay say ahista ahista chehre kay baal khatum ho jatay hain.



•In ghareloo totkoon ke ilawa waxing bhi ek azmooda ilaaj hai jis kay zariye aap gair zaroori baloon se nijaat hasil ker sakti hain.



In tamam beauty tips kay ilawa jadeed tarekoon mein 1 aser treatment bhi muser tareeqa ilaj samjha jata he. Mager ziada tar ghareloo khawateen is tareke ke ilaaj ko mauzoon nahi samajhti hain. Is liye woh gharailoo beauty tips ko he muser samajhti hen. Kiun ke wo aazmooda aur muzhir asraat se paak hote hain aur asaani se her koi in ko aazma sakta hai. Umeed hai ooper darj ki gain beauty tips se aap chehre ke gair zaroori baloon (unwanted hair on face) se nijaat haasil kar pain gi.