Peele Dant Safed Karne Ka Tarika



Dantoon Ki Nisbat Mard Our Khawateen Jism Ke Dosre Hissoon Ki Hifazat Aur Dekh Bhaal Mein Waqt Aur Paisa Kharch Karte Hain Lekin Danotoon Ki Munasib Dekh Bhaal Aur Safai Per Ziyada Tawajah Dete Howe Nazar Nahi Atay.






Is Ka Nateeja Yeh Nikalta Hai Ke Khoubsurti, Mehangay Libaas Aur Makeup Se Shakhsiyat To Achi Lagnay Lagti Hai Magar Jaisay Hi Un Ke Danoton Par Nazar Padtee Hai To Un Par Jami Mail Kochail Aur Saanson Se Othti Badbo Aas Paas Ke Logon Ke Liye Shadeed Nagwari Ka Baais Banti Hain.






Is Liye Zarori He Ke Araish Husn Ke Saath Danotoon Ki Safai Sthrayi Ko Bhi Mad-e-nazar Rakha Jaye Kion Ke Chamakdaar Aur Safaid Daant Aap Ki Khoubsurti Ko 4 Chaand Laga Dete Hain.






Dant Safed Na Hoon To Moonh Se Badbu Aati Hai Aur Danoton Par Mojood Jaraseem Aur Gandagi Khayi Jane Wali Khoraak Ke Saath Maiday Mein Jaa Kar Mukhtalif Bimarioon Ka Baais Banti Hai.






Hazrat Mohammad (Saw) Ne Danotoon Ki Safai Ke Liye Maswaak Par Bohat Zoor Diya Hai. Agar Daant Safaid Aur Saaf Honge To Sehat Bhi Achi Ho Gi Aur Aap Danotoon Ki Bimarioon Se Bhi Mehfooz Rahengi Ya Rahenge.






Danoton Ki Chammak Aur Safedi Se Apni Muskurahat Ko Jagmagana Har Mard Aur Aurat Ki Khwahish Hoti Hai Aur Shayad Isi Maqsad Ke Liye Woh Salanaa Hazaroon Rupe Dentist Ko De Kar Un Ki Safai Bhi Kerwate Hain Lekin Inhen Koi Khaas Faida Nahi Hota.






Mandarja Zail Mein Daantoon Ki Munasib Dekh Bhaal Aur Danto Ko Safaid-o-chamakdaar Banane Ke Liye Gharelo Totkay Betaye Gaye Hain.






Jin Ko Istemaal Kar Ke Aap Danotoon Ko Saaf, Sehat Mand, Mazboot Aur Dant Safed Bana Sakenge Ya Sakengi Aur Is Ke Liye Aap Ko Bohat Ziyadha Kharcha Karne Ki Zaroorat Bhi Nahi Paegi.


Safed Aur Chamakdar Daanto Ke Liye Tips





Chamakdaar Aur Safed Daant Kise Pasand Nahi Aur Motiyoon Jese Chamakate Safaid Daant Aaj Ke Dur Mein Khoubsurti Ke Maloomat Mein Shaamil Ho Chuke Hain.






Yaqeenan Aap Din Mein Ek Ya Do Baar Danotoon Par Brush Karte Ya Karti Hongi, Taake Woh Saaf Aur Safaid Hojayen Magar Phir Bhi Un Ki Safedi Wapas Nahi Aati.






Agar Aesa Hai To Mandarjaa Zail Mein Daant Safed Karne Ki Chand (Tips) Likhi Gai Hain Jin Ko Istemaal Kar Ke Aap Danotoon Ko Safaid Aur Chamakdaar Banaa Sakte Ya Sakti Hain.






Lemon (Lemon) Ka Ras Nikaal Kar Is Mein Daant Saaf Karne Wala Brush Bighoo Kar Rozana Is Se Daant Saaf Kareen. Do Teen Roz Mein Hi Peele Aur Gande Daant Saaf O Shafaaf Aur Safaid Ban Jayenge.




Ek Chammach Mithee Soday Mein Aadhi Chammach Namak Aur Suhagaa Mila Kar Kisi Bottle Mein Mehfooz Kar Leen. Is Se Din Mein Ek Martaba Daant Saaf Kareen Chand Din Ke Istemaal Se Daant Safaid Aur Chamakdar Ban Jayenge.


Tips # 3


Chand Qatre Long Ka Tel Daant Saaf Karne Wale Brush Par Daal Kar Is Se Daant Saaf Kareen. Sarsoon Ke Tel Mein Namak Mila Kar Daant Saaf Karne Se Chand Din Mein Daant Safaid Aur Chamakdaar Hojate Hain.


Tips # 4


Daant Brush Karte Waqt Agar Tooth Paste Per Thooda Saa Soda, Namak Aur Lemoo (Lemon) Ke 2 Qatree Daal Kar Danotoon Ko Saaf Kya Jaye To Naa Sirf Daant Safaid Aur Chamakdaar Ho Jayenge Balke Moonh Ki Na Gawaar Badboo Bhi Khatam Ho Jayegi.



Dantoon Se Peele Dhabee Khatam Karne Ke Liye Haldi Ka Istemaal Bohat Mufeed Hai.


1 Chammach Haldi Ko Rai Ke Tel Mein Mila Kar Paste Bana Leen. Uske Baad Fitkari Ko Tawaa Par Jalaa Kar Haldi Aur Rai Ke Paste Mein Shaamil Karlen. Is Paste Ko Ungli Ya Toothbrush Par Lagaa Kar Daant Saaf Karne Se Danotoon Ke Har Masle Se Chhutkara Mil Jata He.





4 Khaane Ke Chammach Haldi Mein 3 Chamach Nariyal Ka Tel Aur 2 Chammach (Backing Sodda) Daal Kar Kantay (Fork) Ki Madad Se Itna Mix Kareen Ke Amezay Ka Rang Naranji Jaisa Ho Jaye. Isske Baad Toothbrush Par Paste Lagaa Kar Os Se Danotoon Ko Brush Karen. Yeh Paste Danotoon Ko Safaid Karne Ke Ilawa Danotoon Ke Keeree Bhi Khatam Karta Hai.


Dant Safed Karne ke Totkay



Danto Ko Safed Aur Chamakdar Banane Ke Liye Aap Mandarja Zail Ghareloo Totkay Bhi Istemal Kar Saktin Ya Sakte Hain. Kyun Ke Danto Ko Safaid, Chamakdar Aur Saaf Suthra Banane Ke Liye Qudrati Ajza Par Mushtamil Totkay Nihayat Mufeed Hote Hain Aur Danton Ki Mazbooti Mein Herat Angez Asrat Maratab Karte Hain.


Tips # 1

Gharelu toothpaste danton ko safed banane ke alawa masooron se khoon aana aur sujan khatam karne mein bhi mufeed hai.


Meetha soda – 5 chaye ke chammach
Vegetable glycerin – 5 chaye ka chammach
Pudina ka tail – 2 qatray
Namak – 1/4 chammach
5 chaye ka chamach meetha soda mein vegetable glycerin ke 5 chammach, 2 qatray pudina ka tail aur aik chothai chammach namak daal kar inheen achi terhaan mix karen aur ek bottle mein daal kar mehfooz kar len. Rozana is paste se danotoon ko saaf karen danto ki tamam masail se chutkara mil jaye ga.

Is ke milte jhulte bazaar mein milnay walay toothpaste mein had se ziyada fluoride ki miqdar danotoon ko faiday ki bajaye nuqsaan deeti hai.


Gharelu Mouth Wash Dantoon Ka Peela Pan Karne Ke Alawa Moonh Se Badboo Khatam Karne Mein Bhi Bohat Kaar Aamad Hai. Gharelu Maothwash Banane Ke Liye Aap Ko Mandarjaa Zail Ajzaa Ki Zaroorat Ho Gi.


Garam Paani – 1 Glass
Hydrogen Peroxide – 2 Chaye Ke Chammach
Kaala Namak – 1 Chammach
Loong Ka Tail – 4 Qatray
Safedaa Ka Tail – 10 Qatray
Meethaa Sodaa – 1 Chammach
Meetha Sodaa Mein Itna Lemon Juice Dalen Ke Paste Ban Jaye, Is Paste Ko Toothbrush Par Laga Kar Danotoon Par Achi Terhaan Ragrain Aur 10 Minute Tak Laga Rehne Den. Mouthwash Banane Ke Liye Garam Paani Mein Tamaam Cheeze Mila Kar Fridge Mein Rakh Den. Is Mein Se 1 Chammach Paani Rozanaa Le Kar Usay 1 Chammach Saade Paani Mein Mila Kar Kuliaan Karen.

Chand Din Ke Istemaal Se Munh Ki Nagawaar Badboo Khatam Ho Jayegi Aur Dant Safed Ho Jaingy.