Remove wrinkles from face at home

how to remove wrinkles
how to remove wrinkles




Koi bhi aurat borha nahi hona chahti chahe who 50 saal ki ho jaye ya is se bhi ziada. Jawan rehna aur nazer anaa ziada ter aurtoon kay liye bohut zaroori hota hai. Yeh unki awwaleen khawahish hoti he aur is ke liye wo laakh jatan bhi kerti hain. Iss tehreer ka maqsad bhi yehi hai k aisai tamam khawateen jo k khuriyoon ki wajha say pareshaan hai kiyun k who umer se pehle namoodaar do gai hain ya phir dhalti umer ki wajha se bhi hain tou un say nijaat hasil ker dobara say hasen aur dilkash nazer aa sakti hen.

Tips for Wrinkles in Urdu:





· Baisan, shehed, glycerin aur cream ko mila ksr ek bowel mein daal lain aur achi terhaan mix ker len. Itna mix karain k her cheez mil ker aik jaan ho jaye. Ab is paste ko chehre aur gardan per achi terhaa phela ker laga lain.




· Arq e gulab, rogan e badam, phitkari lain aur 4 andon(eggs) ki safedi mein pakaa len. Juba chi terha pakk jaye tou utaar lain. Raat ko sonay say pehlay chehray per lagain aur iss ka massage karain. Chehray ki jhurioon say nijaat mil jaye gi.




· Kelee(banana) le ker achi terha kochal lain aur chehre aur gardan per leep ker lain. Kuch dair k baad chehra saaf ker lain. Yeh jhuriyoon say nijaat ka behtareen tor hai.




· Har rooz kum az kum 15 minute ke liye chehre per balaai se massage karain .




· Ande ki sufaidi ka maask bhi johuriyoon ka behtareen ilaaj he.




· Dahi mein 2 tea spoon shehed mila ker lagaen aur kuch deer ke liye choor deen. Aur phir saaf ker leen.




· Nariyal ka teel le ker massage kerna bhi mufeed samjhaa jata hai




· Saib (apple) aur ananaas(pineapple) ka juice chehre per lagana bhi mufeed samjha jata he. 10 se 15 minute k liye inko chehre per lagain aur dho len. Jald afaqa ho ga.




· Zaitoon ka teel, castor oil aur glycerin mila ker 10 minute k liye chehre par lagaen. Chehre ki jhuriyaan door ho jaingi. 10 minute ke baad paani se chehra saaf ker lain.




· Doodh ki balai aur arq e gulab mila len aur chehre aur gardan per lagain. Halka halka massage karain aur neem garam paani se dho lain. Aik tolia(towel) ko neem garam pani mein bhigo ker chehre aur gardan ko saaf karain aur koi acha saa moisturizer laga lain.




· Dalia(cereal), cream, namak aur pani mila ker msk tayyar ker lain aur 10 minute tuk chehray per lain. 10 minute k baad neem garam paani say chehray ko saaf ker lain. Jhuriyoon ka khatma ho jaye ga. In tamam beauty tips per amal ker k aap apnay chehray aur gardan say dhalti umer k asraat chupa sakti hain. Kiyun k jhuriyaan nihayat budnuma maloom hoti hain. Is liye in aazmooda beuty tips ka istemaal karain aur haseen aur jameel nazer ayen chahe aap 50 saal ki umer ke hi Q na pohanch jain.