Nazla Zukam Aur Khansi Ka Gharelu Ilaj
Agar Aap Khansi Min Mubtala Hen To Aap Ka Alaj Aap Ke Bawarchi Khane Hi Min Mojud Hay.hamare Bataye Gaye Chand Naskhon Par Amal Kar Ke Aap Khansi Se Raaht Pa Sakti Hen.
Adark Se Nazla Zukam Aur Khansi Ka Gharelu Ilaj
University of Maryland Ki Tehqeeq Ke Matabiq Adark Main Paye Jane Wale Kimikals Sozish Or Matli Ko Rokte Hen Garm Pani Min Chand Tukre Adark Ke Dal Kar Bhaap Lain. Gale Main Paai Jane Wali Kharash Theek Ho Jaye Gi.
Siyah Mirch Se Nazla Zukam Aur Khansi Ka Gharelu Ilaj
Siyah Mirch Ka Qehwa Banain Or Khansi Se Chutkara Pain. Qehwa Banane Ke Liye Ek Cap Main Ek Chai Ka Chammach Taza Pisi Siyah Mirch Dal Dain 2 Khane Ke Chamche Shahad Dal Kar Ublaa Paani Dal Dain. Dhak Kar Rakh Den 15 Mint Baad Chaan Kar Is Mashroob Ko Pi Len. Siyah Mirch Khun Ka Dabao Behtar Kare Gi Or Balgum Beh Jaye Gi Jabke Shahad Khansi Ka Qudarti Alaj Hay.
Alsi ke Beej Se Nazla Zukam Aur Khansi Ka Gharelu Ilaj Karen
Ya Bee Halq Ki Kharash Ke Khatme Ke Laye Mufeed Hen. 2 Khane Ke Chamche Alsi Ke Bee Ek Cap Paani Main Ubaal Lain. Yahan Tak Ke Garhaa Masharoob Taiyaar Ho Jaye Ise Chaan Kar Is Min Teen Khane Ke Chamche Shahad Or 3 Khane Ke Chamche Limon Ka Ras Mala Dain Or Pi Lain. Ya Jald Aap Ko Faida De Gi.
Mirchen
Khane Min Chand Sabz Mirchen Kha Lain. Balgum Saaf Ho Gi Or Khaansi Main Kami Aaye Gi. Pasina Or Bahati Naak Se Khansi Main Kami Aa Jaye Gi.
Shahad
Khshak Khansi Ke Laye Chummach Bhar Shahad Buhat Mufeed Paya Gaya Hay. Madison Health Pain Management Ka Mutalaa Batata Hay Ke Dawaon Ke Muqable Min Shahad Khansi Main Aaraam Pohchata Hay. Halq Ko Aaram Dita Hay Or Is Main Mojud Anti bacterial Khusosiyaat Jaraseemi Anfection Se Larne Main Madad Dete Hain.