Adhe Sar Mein Dard Ka Ilaj in Urdu

Dard Kisi Bhi Qisam Ka Ho Takleef Deh Hota He Lekin Sar Dard Aesa Arza Hai Ju Is Bimari Main Mubtila Shakhs Ko Din Main Bhi Taree Dikha Skta Hai.

Urdu


Ju Loog Neend Pori Nahin Karte Ya Had Se Ziyada Sote Hain Wo Akser Adhe Sar Ke Dard Ka Shikaar Ho Jate Hain. Is Liye Zarori Hai Ke Nind Ko Pori Karne Ki Koshish Karen.


Migraine Ka Urdu Main Matlub Sar Dard Hai. Issee Adhe Sar Ka Dard Ya Dard E Shafiqa Bhi Kaha Jata Hai.sar Main Dard Ki Kefiyat Pida Hone Se Humara Dimaag Aur Jisum Ka Moslati Nizaam Motasir Hota Hai. Jis Se Jisum Pora Din Is Ki Lapeet Main Ajata Hai.


Adhe Sar Ke Dard Ki Wajuhaat

  • Mahool Ki Aloodgi
  • Shoor Shrabaa
  • Khoof O Wahem
  • Ajeeb Tarhan Ke Waswase
  • Hasad
  • Nafrat
  • Takabur
  • Maashi Masail
  • Bakhal
  • Samaji Uljhanen
  • Azwaji Khoshgawari Mahool
  • Zehni Galfshaar
  • Ajeeb Khayalaat Ka Anaa
  • Waswaas
  • Dipretion
  • Strees
  • Angzaiti

Ye Tamaam Anaasir Mashre Main Bohat Ziyada Paye Jate Hain. Yahi Waja Hai Ke Rooz Barooz Amraaz Afzoon Ter Hote Ja Rahe Hain.  


Sar Main Dard Ki Kefiyat Do Aqsaam Ki Hoti He Ek Woh Jis Main Pore Sar Main Dard Ki Tees Ubher Kar Mubtilaa Ko Becheen Karti Hai, Dosri Wo Qisam Ju Adhe Sar Ki Shiddat Ka Numaya Hai.


Dard Shafiqa Ke Ziyada Ter Khwateen Main Wakoo Pazeer Hone Baas Khayaal Kiya Jata Hai Ke Jinsi Harmoons Ki Be Aetdali, Mahwari Main Kharabi, Hasterya Aur Dosre Jinsi Aoraz Dard E Shafiqa Ke Bare Asbaab Hain.


Adhe ser Ke Dard Ka Ilaaj

  • Ek Chutki Soonf Ek Chutki Sufeed Zirah Ek Giraam Adrak Ek Giraam Pudina Aur Ek Adad Zabz Alaichi Derdh Cup Paani Main Achi Tarhan Pkkaa Kar Kahwa Bana Kar Pine Se Sar Ke Dard Kam Ho Skta Hai. 
  • Khoshq Mehwa Jaat Khameer Jaat, Murabba Jaat, Kishmish, Gajer Ka Juse Aur Vitamin A - C Se Bhar Poor Gizaoon Ka Baa Kasrat Istemal Karen.
  • Mosmi Subziyaan Kachi Aur Pakkaa Kar Baa Kasrat Istemal Karen.
  • Phal Aur Phalon Ke Jusis Hasb E Gunjaish Lazmi Roz Marrh Khorak Ka Hissa Banyen
  • Nind Humesha Pori Karlen Aur Bilawaja Be Sakoni Se Bachne Ki Koshish Karen.
  • Tameeri Soch Aur Misbat Aproch Bhi Is Tarhan Ke Aoraz Se Humen Mehfoz Rakhti Hain.
  • Ager Ek Cup Kafi Pi Li Jaye Tu Sub Se Sasta Ilaj He. Kafi Khoon Ki Shriyanoon Ko Dabati Hai Jis Se Dard Ki Ki Shidat Main Kami Waqee Hoti Hain.
  • Kafi Ke Istemal Se Khichao Ka Shikaar Kandhon, Gerdan, Kamar, Ser, Aur Chehre Ke Pathon Ki Sakon Milta He.
  • Ramzan Ke Pehle Roze Ke Doran Bhoke Rehne Ki Adat Na Hone Ki Waja Se Bhi Maigreen Ka Humla Ho Skta He.
  • Ek Din Main Kam Az Kam 2 Liter Paani Piyen.
  • Garum Garum Shiree Main Dobi Hoi Jalebiyaan Khai Jayen Tu Ye Bhi Akser Faida Mand Sabit Hoti Hain. 
  • Nashta Aur Khana Kahye Bageer Apni Rooz Marah Ser Gurmiyoon Ka Aghaaz Na Karen Aur Sirf Chai Ya Kafi Per Bhi Iqtifa Na Karen.
  • Aesi Ghizaon Se Perheez Karen Jin Main Imano Aesid Mojood Hon Aur Ye Ziyadha Ter Ghosht, Paneer, Mong Phalli Aur Chakleet Main Paya Jata Hai.
  • Fiver Fio Ek Phool Hai Jis Main Aese Anasir Paye Jate Hain Jo Dard Ke Shafiqa Ke Asraat Aur Doraniyen Ko Kam Karne Main Madad Dete Hain. Is Ki Pattiyaan Khoshk Kar Ke Powder Bana Lain Ya Kahwa Bana Kar Pine Se Aram Milta Hai.
  • Rogan E Alsi Main Zarori Feti Aesid Ki Miqdar Ziyada Hoti He. Din Main Ek Do Chummach Is Qisam Ke Dard Ke Liye Mufeed Rehte Hain.
  • Adhe Sar Ke Dard Ki Ibtidahi Main Agr Ek Se Do Giram Adrak Ka Safoof Le Liya Jaye Ya Chota Tukra Chaba Liya Jaye Tu Dard Ki Shinddat Nahin Ati.
  • Jism Main Paani Ki Kami Na Hone Den Kiun Ke Adhe Sar Main Dard Ka Ek Aham Sabab Ye Bhi Ho Sakta He. Jinhen Ye Masla Hu Wo Ager Ziyadha Deer Tak Khana Na Khayen Tu Bhi Inhen Sar Main Dard Ho Skta He.