Why You Must Eat a Cucumber Daily
Garmiyoon ki amad amad hai aese main kheera na sirf khane ko mazedaar banata he balke jisam ko farokhat bakhashta hai, khere ko amoman sabzi samjha jata he.
ta hum kheera aik phal hai, ju phool se bnta he .
kheera apne ander beshumaar fawaid rakhta he, kiya aap jante hain ke rozana ek kheera khana jisam per kiya asraat mrtab karta hai.
Izafi ki frahmi
garmiyoon ke mosam main jub jisam D Hidrestion ka shikaar hone lagta hai aese main kheera jisam ko izafi nami farahum karta hai.
kheera 95 fisad paani per mushtamil hota hai, lihaza kheera ko khane ka matlab bek waqt ise khana aur paani pina hai.
Zarori Gizaiyat Ka Hasool
aik kheera main sirf 15 se 17 kelewers hoti hain, taham is main jisam ko darkaar digar tamaam zaroori minralz mojood hote hain, in main ( Fiber, Proten, vitamon C, K, B , Potashium , airan, zang, aur meknitium hote hain shamil hain. kheere ko chilke sameed khana ziyada faide mand hai.
Wazan Main Kami
kheera ka baqaida istamal aap ko kamzori ka shikaar kiye bageer aap ke wazan main kami bhi karta hai.
wazan kam karne ke liye aesi gizaon ka istamal zarori hai, jin main pani mojod ho aur kheera iska behtreen zariya hai.
kolestrrol main kami
kheera main mojood ainti aksaidz jese ,vitamin C, betaceroteen, aur megniz khon main kolastrool aur shoger ki mikdaar ko kam karte ahin, kheera har lihaz se ek behtreen giza hai, chonache ase har khane ke sath sath khana mamool bna lena chahiye.