Coconut Oil Se Garare Karne Ke Fayde - Aajkitips

 


Naryal ke teel se garare karne se kiya hota hai ?
Janiye Saloon porane is nuskhe ke heratangeez fawaid.



Teel Se Gharare Kaise Kiya Jaye ?

Ek se do khane ke chammach naryal ke teel ko monh main len
Aur isee achi tarhan dantoon aur jabroon aur mashoroon main
Ghumayen kam az kam 1 se 2 mint tak aesa karen aur phir
Teel besan main thook den yaad rahe ye teel aap pi nahin sakte
Kiun ke is main jaraseem ajaate hain is liye isse phenk dena chahiye



Danton Ke Masail ?

aksar logon ko danto se brush karne aur ziyada kemikal wale toothpaste
istamal krne se qudrati chammak khatam ho jati he aese main agar naryal ke
teel main garare kiye jayen tu monh ke masail door hone ke sath sath
dantoon ki pilahat bhi door hogidantoon main chamak ayegi aur dantoon
se keera bhi door hoga.


Hazmein Ka Liye Mufeed ?

Ye baat to sub hi jaan chukke hain ke naryal ke teel se garare karne se 
Moonh aur dantoon ke masail door hote hain lekin ye baat bohat hi kam loog jante hain
Ke naryal ke teel se garare karne se hazma bhi behter hota hai

Ji haan! Naryal ke teel se jub aap garare karte hain to koch mikdaar main teel

Aap ke medde main bhi pohanch sakta haiaur is se apke medde main mojood zehrile 
Maade kharij hote hain naryal ka teel medde ko khai jane wali chezoon se gizai ajzzaa 
Jazb karne main madd deta hai is se kahana jaldi hazam ho jata hai aur tezabiyat bhi nahin hoti
Jubke anttoon se bhi zehrilee maddoon ka akhraaj mumqin hota hai, agar aap bhi apne
Moonh, dantoon, aur medde ki sehat yaqeeni banana chahte hain to naryal ke teel se garare karne chahiyen.


Note: 
Mazeed achi achi post ke liye humare blog pe aate raha karen aur 
Ye post pasand ai tu apne dostoon ko bhi share karen plzz...