Skin Care Tips for Oily Skin |
Magr Usay Phir Bhi Nataij Haasil Nahi Hoti. Misaal Ke Toor Par Oily Skin Aaj Kal Ek Aam Sa Maslaa Ban Gayi He Agar Mawazna Kiya Jaye To Har Dosre Shakhs Ki Skin Oily Hoti Hai.
Oily Skin Tips and Tricks in Hindi Urdu :-
Skin Care Tips for Oily Skin |
Oily Skin Se Chutkara Hasil Karne Ke Chand Munfrid Aur Nayaab Ghrelo Totkey Jin Par Amal Kar Ke Ba Asaani Oily Skin Se Chutkara Hasil Kiya Ja Skta Hai.
How to Use 6 Cream for Face Wash :-
Skin Care Tips for Oily Skin |
1. Aloe Vera Face Scrub For Oily Skin
2. Toner And Cleansing For Oily Skin
3. Honey Face Scrub For Oily Skin
4. Face Mist Spray For Oily Skin
5. Face Pack For Oily Skin
6. Face Wash For Oily
Oily Skin Se Chutkara Urdu Hindi :-
Skin Care Tips for Oily Skin |
Oily Skin Insan Ki Khoobsorti Ko Kaafi Had Tak Mottaasir Kar Deti Hai Aur Chehre Ki Tar-o-tazgi Ko Taqreban Khatam Kar Deti Hai. Aaj Hum Is Baat Ko Pishِ-e-nazar Rakhte Howe Aap Ke Liye Oily Skin Se Chhutkara Haasil Karwane Ke Chand Munfarid Aur Nayaab Totkay Laye Hain Jin Par Amal Kar Ke Baa Asaani Oily Jald Se Chutkara Hasil Kiya Ja Sakta Hai.
Face Wash India Oily Skin in Urdu Hindi :-
Skin Care Tips for Oily Skin |
Gram Paani Ka Istamaal Chere Se Nihayat Asaani Ke Saath Izaafi Oil Aur Dhool Mitti Ko Hatta Deta Hai.
Oily Skin Se Jan Churane Ke Liye Neem Garm Paani Se Chehra Dho Kar Ise Khushk Kar Lain Is Ke Baad Jub Ye Khushk Ho Jaye Tu Thanda Paani Monh Par Maar Lain.
Behtreen Nataij Ke Liye As Amal Ko Din Main 2 Bar Rozana Karen Aap Ko Khod Farq Mehsoos Hone Lagega.
Face Mist Spray Use for Oily Skin in Urdu Hindi :-
Skin Care Tips for Oily Skin |
Ye Oily Skin Se Chutkara Haasil Karne Ka Sab Se Behtareen Aur Unique Tareqa Hai Jis Ke Liye Aap Ko Sirf Ek Spray Bottle Mein Ek Chai Ka Chammach Namak Paani Mein Hal Kar Ke Chehre Par Spray Karna Hai. Is Amal Ko Din Mein Ek Baar Rozana Karen Wazeh Nataaij Aap Ke Samne Aana Shuru Ho Jaienge.
Toner and Cleansing Use for Oily Skin in Urdu Hindi :-
Toner and cleansing for Oily Skin in Urdu Hindi |
Ye Bohat Ahem Baat He Ke Apne Chehre Se Izaafi Oil Ko Door Rakha Jaye. Lehaaza Poore Din Ke Douraan Is Izaafi Oil Ko Door Karne Ke Liye Face Tissue Paper Ya Blotting Paper Ka Istemaal Kareen Aur Chehre Par Oil Ko Jamaa Na Hone Dain. Sirka Aur Arq E Gulabka Ka Mixture Oily Skin Ke Liye Ek Zabar Dast Toner Ka Kaam Karta Hai Is Ke Ilawah Green Tea Aur Arq E Gulabka Ka Mixture Bhi Kaafi Asar Andaaz Ho Saktaa Hai. Milk Se Chehre Par Cleansing Karne Se Bhi Is Se Jaan Chhrhayi Jaa Sakti Hai Ye Ek Behhreen Tariqa Hai.
Honey Face Scrub Use Oily Skin in Urdu Hindi :-
Honey Face Scrub for Oily Skin in Urdu Hindi |
Deegar Aqsaam Ki Jald Ke Mukaable Oily Skin Apni Taraf Dhool Matti Ko Ziyada Mutwajaah Karti He. Badaam Aur Shehed Ka Scrub Is Terhaan Ki Jald Ke Liye Sabse Behtareen Hai. Is Paste Ko Banane Ke Liye Thora Saa Badaam Ka Powder Aur Shehad Len Phir Is Ko Chehre Par Lagayen Aur Ye Bhi Aap Ko Masbat Nataij De Sakta Hai.
How to Use Aloe Vera for Skin at Home :-
Aloe Vera Face Scrub for Oily Skin in Urdu Hindi |
Is Terhaan Ki Jald Ke Liye Ek Aur Behtareen Scrub (Burn Plant) Aloe Vera Ka Saabit Ho Sakta Hai (Burn Plant) Izafi Oil Ko Chehre Se Hatane Ke Liye Bhi Muawin Sabit Ho Saktaa Hai. (Burn Plant) K Jail Ko Roz Kuch Minute Tak Apne Chehre Par Massage Karen Aur Phir Thande Paani Se Dho Len Aap Is Baat Ko Note Kareen Ge Ke Oil Waqai Mein Kam Hogaya Hai.
Face Pack Use for Oily Skin in Urdu Hindi :-
Face Pack for Oily Skin in Urdu Hindi |
Scrubbing Se Chehre Par Pours Kohl Jatay Hain To Ye Baat Bhi Intaahi Zurori Hai Ke Un Pours Ko Ek Face Pack Ke Zariye Band Kiya Jaaye.
Ye Face Pack Gahr Par Hi Besan Aur Butter Milk Se Banayaa Jaa Saktaa Hai. Is Paste Ko Itna Gaarha Banayen Ke Lagaane Se Ye Aap Ke Chehre Aur Gardan Ko Dhaanp Le.
Jis Ke Baad Is Ko 10 Se 15 Minute Tak Lagaa Kar Rakheen Aur Phir Dho Len Ye Pack Aap Ki Jald Se Izaafi Oil Ko Jarrd Se Khatam Kar Deega.
Note:- Yeh Article Skin Care Tips in Urdu/Hindi for greasy Skin aam maloomat ke liye hai. Reders is hawale se apne Doctor se bhi zaroor mashwara kar len.