Ek Chutkki Powder Lagayen Aur Kali Gardan Ko Saaf Karen. Agar Aap Ki Bhi Gardan Aesi Kali Ho Gai He Tu Aelovera Jel Ke Sath Sirf Ye Cheez Daal Kar Lagayen Aur Razalt Khod Dekh Lain.
Sirf Chehra Chamkta Aur Saaf Shothra Hona Khobsorti Ki Alamat Nahin Hoti, Hum Log Apne Chehron Ko Khobsorat Banane Main Apni Kohniyon, Khotnon Aur Gardan Ki Taraf Tawajja Dena Choor Dete Hain Jis Ki Waja Se Hum Aese Kapre Talash Karte Hain Jin Main Gardan Nazar Na Aye, Aasteen Pori Ya Kowater Pehente Hain Ke Kahin Kisi Ko Kali Kohni Nazar Na Ajaye, Kahin Ungliyoon Ke Kaale Prroon Per Kisi Ki Nazar Na Jaye, Lekin Apne In Hissoon Ka Khyaal Nahin Rakhte, Aese Main ( Aajkitips ) In Tamaam Pareshan Haal Khawateen Ke Liye Asaan Aur Saste Nuskhe Lekar Aayi Hai Ju Skin Ke Harbal Ducter Bhi Batate Hain.
Gardan Ki Safai :
Jin Ki Gardan Kali Hai, On Khwateen Ko Chahiye Ke Wo Rozana Din Main 2 Martaba 3 Chummach Aelovera Jel, Ek Cummach Hali Ki Powder, Ek Chammach Phitkri Ka Powder, Namak, Chini Aur Lemu Daal Kar Achi Tarhan Gardan Per Raghren Aur Jildi Result Ki Sorat Main Inu Ka Istamaal Bhi Karen, Yoon 3 Maah Ke Istamaal Ke Baad Aap Ko Waazhe Faraq Nazar Ayega.
Kohni Ki Safai :
Kohni Ko Saaf Karne Ke Liye Aap Ko Chahiye Ke Ek Chummach Sirke Main Ek Chummach Namak, Aelovera Jel Aur Haldi Mix Karen Aur Is Se In Ki Malish Karen, Saath Hi In Main Ek Chummach Shahd Bhi Shamil Kar Len, Ye Kohni Ki Kali Rangat Ko Saaf Karne Main Aap Ki Madad Karega.
Ghotne Ki Safai :
Ghotne Kale Ho Gaye Hain Tu Ek Chummach Dodh, Haldi, Aelovera Jel, Phitkri Powder, Kafoor Ka Powder Aur Ek Chummach Sirka Achi Tarha Mix Karen, Jese Hi Dodh Phatne Lage Is Ko Ghotne Par Laga Kar Maalish Karlen.